Thursday, August 12, 2010

Jinhain Chaha Bahut Hum Nay - Poetry

~Jinhain chaha bahut hm ne, magar apnaa nhi paey: 
Bht ankhon ne barish ki, mujhe woh yad jb aaey¤ 

~Bary daway thy hm tm se, juda ho kr bhe jee lain gay: 
Magar ek lamha bhar ki hm, judai seh nahin paey¤ 

~Main jin ki rah takta hn na jany kitne arsay se: 
Koi un se zra pochay,woh milne Q nhi aaey¤ 

~Na jany kb se apne ap ko hm to badal bethy: 
Yeh Qismat k sitaaray Q badalne ko nhe aaey¤ 

~Aay Qasid! tm kaho un se, woh lrna chor dain hm se: 
Woh jb se rooth bethy, tb se hm bhe so nhe paaey¤ 

~Khudaya shukar hy tera keh yadon par nhein pehra: 
Agar yadon pe pehra ho,to phr Aashiq kahan jaey¤ 

~Jo kehtay hain mohabat kuch nahin hoti zamanay mein: 
Woh khud bhe to mohbt k bina Q reh nahi paaey¤ 

From Book: 
''Phir Bichray Pattay Shakhoon Se'' 
Poet:Muhammad IMRAN Malik 

0 comments:

Post a Comment

 
Design by Wordpress Theme | Bloggerized by Free Blogger Templates | coupon codes