Qareeb Maut Khari Hai Zaraa Thahar Jao Qazaa Se Aankh Lari Hai Zaraa Thahar Jao Thaki Thaki Si Fazaayen Bujhe Bujhe Taare Bari Udaas Ghari Hai Zaraa Thahar Jao Nahin Ummeed Ki Ham Aaj Ki Sahar Dekhen Ye Raat Ham Pe Kari Hai Zaraa Thahar Jao Abhi Na Jao Ke Taaron Kaa Dil Dharaktaa Hai Tamaam Raat Pari Hai Zaraa Thahar Jao Phir Is Ke Baad Kabhi Ham Na Tum Ko Rokenge Labon Pe Saans Ari Hai Zaraa Thahar Jao Dam-E-Firaaq Mein Ji Bhar Ke Tum Ko Dekh To Luun Ye Faisale Kii Ghari Hai Zaraa Thahar Jao X



4:52 AM
Pakwatchtv
0 comments:
Post a Comment