Ajnabi raah tanha nagar day gaya mujhe,
Pathar ka shehar shishay ka ghar day gaya mujhe,
Wo bhe mujh ko sochta rehta hay raat bhar,
Us k nagar ka chand khabar day gaya mujhe,
Muhabatain kitne shadeed thin,
Khud mit gaya or apni nazar day gya mujhee,
Wo qafilay ko chor k tanha hi chal diya ,
Or jatay huway rakt-e-safar day gaya mujhe,
Jany wo,
"Bewafa" tha ya "Majboor" tha
" WASI"!
Bus zindagi
Guzarnay ka hunar day gaya mujhe



4:57 AM
Pakwatchtv
0 comments:
Post a Comment