Thursday, August 12, 2010

A Love Ghazal - Poetry

~Tere chehray ki latafat ko bayaan kesay karon.... 
tere lehjay ki nazakat ko bayaan keay karon. 


~chund lamhay jo tere wasal mein guzray meray...... 
mein ussi pal ki rafaqat ko bayaan kesay karon. 


ye jo sharma k tu palkon ko gira deti hai...... 
teray nainoon ki sharafat ko bayaan kesay karon. 

phool aatay hain teray pass churanay shabnam...... 
teray honton ki tarawat ko bayaan kesay karon. 


Khud hi larti hai manati bhi hai IMRAN mujhay...... 
us ki masoom shararat ko bayaan kesay karon... 

From book:"Phir bichray pattay shakhoon se" 
POET:Muhammad Imran Malik

0 comments:

Post a Comment

 
Design by Wordpress Theme | Bloggerized by Free Blogger Templates | coupon codes